Kabhi pyaase ko paani pilaya nahi
Kabhi pyaase ko paani pilaya nahi
Baadmein amrut pilane se kya fayada
Kabhi girte hue ko uthaya nahi
Baadmein aasu bahane se kya fayda
Mein toh mandir gayi,
pooja-aarti kiPooja karte yeh khayal aa gaya — (2)
Kabhi Maa-Baap ki seva ki hi nahi
Sirf pooja ke karne se kya fayda
Kabhi pyaase ko……..Kya Fayda
Mein toh satsang gayi, guruvaani suni,
Guruvani ko sunkae khayal aa gaya — (2)
Janm manav ka leke daya naa kari
Fir manav kehlaane se kya fayada
Kabhi pyaase ko……kya Fayda
Maine daan kiya, maine Jap-Tapp kiya,
Daan karte hue, yeh khayal aa gaya — (2)
Kabhi Bhuke ko bhojan khilaya nahi
Dan laakhon ko karne se kya fayda
Kabhi ptyaase ko……kya fayda
Ganga nahane haridwaar-kashi gayi
Ganga nahane hi mann me khayal aa gaya — (2)
Tann ko dhoya par mann ko toh dhoya nahi
Fir ganga nahane se kya fayda
Kabhi ptyaase ko……kya fayda
Maine Ved padhe, maine shashtra padhe
Shashtra padhte hue yeh khayal aa gaya — (2)
Maine Gyaan kisiko baata nahi
Fir gyaani kehlaane se kya fayda
Kabhi ptyaase ko……kya fayda
Maa- pita ke charnon mein char dhaam hai
Aaja aaje yehi mukti ka dham hai — (2)
Pita- mata ki seva ki hi nahi
Fir teertho mein jane se kya fayda
Kabhi ptyaase ko……kya fayda
Kabhi girte hue ko uthaya nahi
Baadmein aasu bahane se kya fayda — (3)
Name of Song : Kabhi Pyaase ko paani pilaya nahi
Language : Hindi
Comments